Aaj bhi galiyo main machalta hai dil,
Cup jeetne ke utsah main,
Sadko par le chalta hai dil.
Aaj Sadke nahi thi sunsaan,
Aaj Log nahi the herraan,
Kya hua hai in logon ko,
koi nahi puch raha tha kisiko.
Yeh jeet ki khushi thi yaa junoon tha harane kaa,
Vivek bhi nikal pada sapna lekar india gate ko mutthi main bharne kaa,
Har tarah yahi pukar thi,
"yehhh jeet gaye",aakhir 28 saal ke baad ki khushi thi...
Par darr lag raha tha, kahin hum akele toh nahi,
Is high profile area main kya humara koi saaki nahi...
India gate pahunch kar humara bhram hua door,
pehli baar dekha dilli kaa pyaar, hamara gururr.
main thoda seham gaye,
Mujhe security issue lagna laga,
Par koi nahi... aaj sab sadko par hai,
Police kya pakdegi..aakhir dillwalo ke aage woh bhi majboor hai..
Kaun si jaat ke,
Kis naam ke,
Bas dete rahe ek dusre ko badhai..
Pehli baar is delhi kii dillagi samajh main aayi...
Naa koi gila dikha,
Naa koi shikwa,
Sab ke rahe hai the..oye ab toh hua sapna saakar,
Aa gaya cup bharat main mera huzoor..mere sarkar...
par is baat kaa afsos hai,
Poonam kahin madhosh hai,
Aakhir Reh gayi uski tamanna adhuri,
Par bina uske he team India ki ho gayi santushti puri..
Ab toh khush ho jaayo,
Ho gaya sachin kaa sapna pooraa,
Ab toh team india bhi bol uthi..
We played for sachin, jiska sapna tha 22 saal se adhura...
hamari dilli hamara dil.
shaan se keh rahe hain,
jeet liya oye.....bharat ne sabka dil.
Dhoni ne kari dhunayi,
Ghambhir ne baat ki ghambirta samjhayi,
Yuvi bane yuvraj,
Aakhirkaar world cup ko banaya humraaj.
Aakhir dilli hai dillwalo kii,
is baat par ab yakin karne ko dil karta hai,
Woh raat ab wapas jeene ko dil karta hai,
Khaash jee sakun main bhi woh pal kabhi,
koi sapna lekar har dilliwali aaj bhi ghar se nikalta,
subah shaam bas dusro main he.. laga rahta hai,
apni sudh nahi usko, par dusre kaa pata hai
kyunki aaj bhi bharat kaa dil dhaktaa hai..
Vivek AGGARWAL
COPYRIGHTS BY VIVEK AGGARWAL